us se hai agar pyar bata kyon nahin dete
us se hai agar pyaar batā kyoñ nahīñ dete
hotā ho kahīñ bhī vo sadā kyoñ nahīñ dete
paltī hai ḳhalish jis se nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ
tum aisī adāvat ko miTā kyoñ nahīñ dete
jo pyaas kī shiddat ko samajhne se ho qāsir
us lab pe koī dhuup sajā kyoñ nahīñ dete
rahte haiñ jo fikroñ kī guphāoñ meñ unheñ tum
ik ḳhvāb masarrat kā dikhā kyoñ nahīñ dete
dekhā nahīñ jaatā hai ġham-e-hijr kisī kā
bichhḌe hue logoñ ko milā kyoñ nahīñ dete
tum par jo bharosa hai kahīñ ḳhatm na ho jaa.e
tum achchhe masīhā ho shifā kyoñ nahīñ dete
baiThe ho vahī baat liye aaj 'nazar' tum
maazī ke shab-o-roz bhulā kyoñ nahīñ dete
us se hai agar pyar bata kyon nahin dete
hota ho kahin bhi wo sada kyon nahin dete
palti hai KHalish jis se nihan-KHana-e-dil mein
tum aisi adawat ko miTa kyon nahin dete
jo pyas ki shiddat ko samajhne se ho qasir
us lab pe koi dhup saja kyon nahin dete
rahte hain jo fikron ki guphaon mein unhen tum
ek KHwab masarrat ka dikha kyon nahin dete
dekha nahin jata hai gham-e-hijr kisi ka
bichhDe hue logon ko mila kyon nahin dete
tum par jo bharosa hai kahin KHatm na ho jae
tum achchhe masiha ho shifa kyon nahin dete
baiThe ho wahi baat liye aaj 'nazar' tum
mazi ke shab-o-roz bhula kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.