us se kahun main haal-e-dil-e-dagh-dagh kya
us se kahūñ maiñ hāl-e-dil-e-dāġh-dāġh kyā
hañs kar jo ye kahe ki sajāyā hai baaġh kyā
qabr ek ḳhush-nasīb kī phūloñ se aT ga.ī
yāroñ ke āñsuoñ ne jalā.e charāġh kyā
vo multafit nahīñ haiñ to kyā lutf-e-mai-kashī
ab haiñ nazar meñ hech subū kyā ayāġh kyā
vo mehrbāñ na hoñ to ḳhushī kā kise dimāġh
dil mutma.in na ho to ġham-e-sair-e-bāġh kyā
shabnam ke girya se mirā pahuñchā kahāñ ḳhayāl
ġhuncha hai sīna-e-chamanistāñ kā daaġh kyā
'fitrat' mizāj-e-sher kī garmī na pūchhiye
do she'r kah ke jalne lagā hai dimāġh kyā
us se kahun main haal-e-dil-e-dagh-dagh kya
hans kar jo ye kahe ki sajaya hai bagh kya
qabr ek KHush-nasib ki phulon se aT gai
yaron ke aansuon ne jalae charagh kya
wo multafit nahin hain to kya lutf-e-mai-kashi
ab hain nazar mein hech subu kya ayagh kya
wo mehrban na hon to KHushi ka kise dimagh
dil mutmain na ho to gham-e-sair-e-bagh kya
shabnam ke girya se mera pahuncha kahan KHayal
ghuncha hai sina-e-chamanistan ka dagh kya
'fitrat' mizaj-e-sher ki garmi na puchhiye
do she'r kah ke jalne laga hai dimagh kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.