us se mil kar aaya hun
us se mil kar aaya huuñ
mahkā mahkā phirtā huuñ
saare kaam uThā rakkhe haiñ
tujh ko sochā kartā huuñ
maiñ to baazī haar gayā par
us kī jiit pe hañstā huuñ
dil na chāhe phir bhī maiñ
us se mil hī aatā huuñ
jis ne jā kar ḳhat na likhā
us kā rasta taktā huuñ
tū aa.e to aage jā.ūñ
terī ḳhātir Thahrā huuñ
us se mil kar aaya hun
mahka mahka phirta hun
sare kaam uTha rakkhe hain
tujh ko socha karta hun
main to bazi haar gaya par
us ki jit pe hansta hun
dil na chahe phir bhi main
us se mil hi aata hun
jis ne ja kar KHat na likha
us ka rasta takta hun
tu aae to aage jaun
teri KHatir Thahra hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.