us se mil kar bhi raha pyasa to phir
us se mil kar bhī rahā pyāsā to phir
vo na ban paayā agar dariyā to phir
aa.ina sach boltā hai sach hai ye
vo jo shoḳhī par utar aaya to phir
aisā vaisā sochtā rahtā huuñ maiñ
aisā vaisā us ne bhī sochā to phir
vo na Tālegā mirī is baat ko
us ne majbūran agar Taalā to phir
jis kī ḳhātir jūjhtā rahtā huuñ maiñ
zindagī hī meñ use paayā to phir
merā kyā majnūñ abhī ban jā.ūñgā
vo na ban paa.ī agar lailā to phir
maiñ samajhtā huuñ jise muḳhlis mirā
āstīñ kā saañp vo niklā to phir
ruk zarā ai dil abhī to bhiiḌ hai
vo jab ho jā.egā jo tanhā to phir
sard-'sho.ala' jaan kar chheḌo na tum
be-irāda maiñ agar bhaḌkā to phir
us se mil kar bhi raha pyasa to phir
wo na ban paya agar dariya to phir
aaina sach bolta hai sach hai ye
wo jo shoKHi par utar aaya to phir
aisa waisa sochta rahta hun main
aisa waisa us ne bhi socha to phir
wo na Talega meri is baat ko
us ne majburan agar Tala to phir
jis ki KHatir jujhta rahta hun main
zindagi hi mein use paya to phir
mera kya majnun abhi ban jaunga
wo na ban pai agar laila to phir
main samajhta hun jise muKHlis mera
aastin ka sanp wo nikla to phir
ruk zara ai dil abhi to bhiD hai
wo jab ho jaega jo tanha to phir
sard-'shoala' jaan kar chheDo na tum
be-irada main agar bhaDka to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.