us se milne ka koi jab silsila mil jaega
us se milne kā koī jab silsila mil jā.egā
us ke dil tak jaane kā kuchh rāsta mil jā.egā
umr bhar us ne paḌhā hai ā.īna ban kar mujhe
dekh le us kī nazar merā pata mil jā.egā
us ke chehre par paḌā parda haTā kar dekhiye
ik kañval to jhiil meñ khiltā huā mil jā.egā
phuul ke gamloñ ko āñgan meñ sajā kar dekhiye
band kamroñ ko bhī ḳhushbū kā pata mil jā.egā
in añdhere rāstoñ par kuchh diye rakhtā to chal
ik diyā dil meñ tire jaltā huā mil jā.egā
us se milne ka koi jab silsila mil jaega
us ke dil tak jaane ka kuchh rasta mil jaega
umr bhar us ne paDha hai aaina ban kar mujhe
dekh le us ki nazar mera pata mil jaega
us ke chehre par paDa parda haTa kar dekhiye
ek kanwal to jhil mein khilta hua mil jaega
phul ke gamlon ko aangan mein saja kar dekhiye
band kamron ko bhi KHushbu ka pata mil jaega
in andhere raston par kuchh diye rakhta to chal
ek diya dil mein tere jalta hua mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.