us se mere ghamon ka mudawa nahin hua
us se mire ġhamoñ kā mudāvā nahīñ huā
mere liye vo shaḳhs masīhā nahīñ huā
hoñge bahut hasīn zamāne meñ kyā karūñ
ye dil kisī ke husn pe shaidā nahīñ huā
samjhegā kaise vo bhalā phir dil kī baat ko
jis kā kisī ke dil meñ Thaharnā nahīñ huā
karte haiñ āsmāñ pe vo parvāz is tarah
jaise kabhī zamīñ pe utarnā nahīñ huā
rakkhā hai dostī kā bharam dostoñ ne ḳhuub
tanhā bhī ho ke maiñ kabhī tanhā nahīñ huā
taaza rahe na zaḳhm bhalā kyoñ ai dosto
dushman kā ho gayā hai vo merā nahīñ huā
pahlū meñ un ko dekhā to 'shamshād' bārhā
ḳhud kī du'ā pe ham ko bharosa nahīñ huā
us se mere ghamon ka mudawa nahin hua
mere liye wo shaKHs masiha nahin hua
honge bahut hasin zamane mein kya karun
ye dil kisi ke husn pe shaida nahin hua
samjhega kaise wo bhala phir dil ki baat ko
jis ka kisi ke dil mein Thaharna nahin hua
karte hain aasman pe wo parwaz is tarah
jaise kabhi zamin pe utarna nahin hua
rakkha hai dosti ka bharam doston ne KHub
tanha bhi ho ke main kabhi tanha nahin hua
taza rahe na zaKHm bhala kyon ai dosto
dushman ka ho gaya hai wo mera nahin hua
pahlu mein un ko dekha to 'shamshad' barha
KHud ki du'a pe hum ko bharosa nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.