us se taslim bas yunhi si hai
us se taslīm bas yūñhī sī hai
barf ehsās kī jamī sī hai
chaliye ahbāb ko to jaan ga.e
ye musībat to aarzī sī hai
kuchh to chāragarī kare koī
aaj kuchh dard meñ kamī sī hai
aaj chupke se kis kī yaad aa.ī
dil ke āñgan meñ chāñdnī sī hai
kis ne tark-e-vafā kiyā pahle
ye shikāyat bhī bāhamī sī hai
hasrato ab to ho chalo ḳhāmosh
nabz bīmār kī thamī sī hai
umr guzrī jise bayāñ karte
vo kathā ab bhī an-kahī sī hai
us se taslim bas yunhi si hai
barf ehsas ki jami si hai
chaliye ahbab ko to jaan gae
ye musibat to aarzi si hai
kuchh to chaaragari kare koi
aaj kuchh dard mein kami si hai
aaj chupke se kis ki yaad aai
dil ke aangan mein chandni si hai
kis ne tark-e-wafa kiya pahle
ye shikayat bhi bahami si hai
hasrato ab to ho chalo KHamosh
nabz bimar ki thami si hai
umr guzri jise bayan karte
wo katha ab bhi an-kahi si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.