Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us se ye baat bhi puchhunga kabhi mil kar ke

Wajid Husain Saahil

us se ye baat bhi puchhunga kabhi mil kar ke

Wajid Husain Saahil

MORE BYWajid Husain Saahil

    us se ye baat bhī pūchhūñgā kabhī mil kar ke

    tere siine meñ koī chiiz hai kyā dil kar ke

    yaar aa.e the mire yuuñ to madad ko lekin

    chal diye kaam mirā aur bhī mushkil kar ke

    ye mohabbat election hai bhalā kyā laḌnā

    donoñ sarkār banā leñge chalo mil kar ke

    maiñ huuñ vo ḳhvāb jo mahdūd rahā āñkhoñ meñ

    us ne dekhā nahīñ dil meñ kabhī dāḳhil kar ke

    tujh se milne ko kiye itne vazīfe maiñ ne

    log ab mujh ko chiḌhāne lage aa mil kar ke

    mujh se shohrat to abhī duur bahut hai lekin

    maiñ bhī ik roz rahūñgā tujhe hāsil kar ke

    ke ik baar masīhā se ye kah de koī

    terā bīmār to mar jā.egā til til kar ke

    is se pahle maiñ adhūrī koī shai thā magar

    rakh diyā mujh ko tire 'ishq ne kāmil kar ke

    tum se vo pūchhne ā.eñge kisī din yaaro

    koī dīvāna thā shā'ir yahāñ 'sāhil' kar ke

    us se ye baat bhi puchhunga kabhi mil kar ke

    tere sine mein koi chiz hai kya dil kar ke

    yar aae the mere yun to madad ko lekin

    chal diye kaam mera aur bhi mushkil kar ke

    ye mohabbat ka election hai bhala kya laDna

    donon sarkar bana lenge chalo mil kar ke

    main hun wo KHwab jo mahdud raha aankhon mein

    us ne dekha nahin dil mein kabhi daKHil kar ke

    tujh se milne ko kiye itne wazife main ne

    log ab mujh ko chiDhane lage aa mil kar ke

    mujh se shohrat to abhi dur bahut hai lekin

    main bhi ek roz rahunga tujhe hasil kar ke

    ja ke ek bar masiha se ye kah de koi

    tera bimar to mar jaega til til kar ke

    is se pahle main adhuri si koi shai tha magar

    rakh diya mujh ko tere 'ishq ne kaamil kar ke

    tum se wo puchhne aaenge kisi din yaro

    koi diwana tha sha'ir yahan 'sahil' kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now