us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha
us shaam ko jab ruuTh ke meñ ghar se chalā thā
ik saaya bhī bichhḌe hue manzar se chalā thā
ab āsmāñ hāthoñ meñ hai pairvī meñ zamīñ hai
maiñ be sar-o-sāmān tire dar se chalā thā
be-bas use kar degī havāoñ kī siyāsat
bādal kā vo TukḌā jo samundar se chalā thā
dene lagā ākāsh ke darvāzoñ pe dastak
insān kā vo daur jo patthar se chalā thā
us shaḳhs kī shohrat ko na paimāna banāo
khoTā thā vo sikka jo muqaddar se chalā thā
us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha
ek saya bhi bichhDe hue manzar se chala tha
ab aasman hathon mein hai pairwi mein zamin hai
main be sar-o-saman tere dar se chala tha
be-bas use kar degi hawaon ki siyasat
baadal ka wo TukDa jo samundar se chala tha
dene laga aakash ke darwazon pe dastak
insan ka wo daur jo patthar se chala tha
us shaKHs ki shohrat ko na paimana banao
khoTa tha wo sikka jo muqaddar se chala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.