us shab-e-be-sahar ki KHair nahin
us shab-e-be-sahar kī ḳhair nahīñ
varna shams-o-qamar kī ḳhair nahīñ
phir ga.e din jalī huī kaliyo
aaj barq-o-sharar kī ḳhair nahīñ
likh to dī haiñ kharī kharī bāteñ
lekin ab nāma-bar kī ḳhair nahīñ
yā to piñjre kī shāmat aa.ī hai
yā mire bāl-o-par kī ḳhair nahīñ
jab shayātīn ban rahe haiñ ḳhudā
yaañ kisī bahr-o-bar kī ḳhair nahīñ
aise-vaisoñ se kyā ḳhatar un ko
sirf ahl-e-nazar kī ḳhair nahīñ
der bas ik nigāh-e-ḳhās kī hai
dil kī siine kī sar kī ḳhair nahīñ
us shab-e-be-sahar ki KHair nahin
warna shams-o-qamar ki KHair nahin
phir gae din jali hui kaliyo
aaj barq-o-sharar ki KHair nahin
likh to di hain khari khari baaten
lekin ab nama-bar ki KHair nahin
ya to pinjre ki shamat aai hai
ya mere baal-o-par ki KHair nahin
jab shayatin ban rahe hain KHuda
yan kisi bahr-o-bar ki KHair nahin
aise-waison se kya KHatar un ko
sirf ahl-e-nazar ki KHair nahin
der bas ek nigah-e-KHas ki hai
dil ki sine ki sar ki KHair nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.