us shahr se aisa koi rishta bhi nahin hai
us shahr se aisā koī rishta bhī nahīñ hai
fursat bhī nahīñ hai mujhe jaanā bhī nahīñ hai
piinā hai to ham jām-e-shahādat hī piyeñge
ab is ke sivā dūsrā chāra bhī nahīñ hai
ā.inda kabhī baiTh ke kuchh baat kareñge
mausam bhī nahīñ hai abhī mauqa' bhī nahīñ hai
miltā thā baḌe shauq se pahle vo sar-e-shām
ab dekh ke kaT jaatā hai aatā bhī nahīñ hai
is mulk meñ mujrim hai vahī haath meñ jis ke
hathiyār baḌī chiiz hai tesha bhī nahīñ hai
ye gardish-e-ayyām kī vahshat hai ki 'dānish'
bachcha koī ab shahr meñ rotā bhī nahīñ hai
us shahr se aisa koi rishta bhi nahin hai
fursat bhi nahin hai mujhe jaana bhi nahin hai
pina hai to hum jam-e-shahadat hi piyenge
ab is ke siwa dusra chaara bhi nahin hai
aainda kabhi baiTh ke kuchh baat karenge
mausam bhi nahin hai abhi mauqa' bhi nahin hai
milta tha baDe shauq se pahle wo sar-e-sham
ab dekh ke kaT jata hai aata bhi nahin hai
is mulk mein mujrim hai wahi hath mein jis ke
hathiyar baDi chiz hai tesha bhi nahin hai
ye gardish-e-ayyam ki wahshat hai ki 'danish'
bachcha koi ab shahr mein rota bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.