us shaKHs ko jo mujh pe yaqin kuchh nahin raha
us shaḳhs ko jo mujh pe yaqīñ kuchh nahīñ rahā
baaqī mire liye bhī kahīñ kuchh nahīñ rahā
miTTī ne apne saare ḳhazāne ugal diye
lagtā hai aur zer-e-zamīñ kuchh nahīñ rahā
afzal har ek shai se vahāñ sirf maiñ hī thā
ye aur baat hai ki yahīñ kuchh nahīñ rahā
dil kī jo vus.atoñ kā kabhī aa gayā ḳhayāl
phir to nazar meñ arsh-e-barīñ kuchh nahīñ rahā
us kī bas ik nigāh se qissa huā tamām
hangāma-e-chunāñ-o-chunīñ kuchh nahīñ rahā
maiñ ne kahā ki jo bhī hai lauTā.īye mujhe
us ne diyā javāb nahīñ kuchh nahīñ rahā
us shaKHs ko jo mujh pe yaqin kuchh nahin raha
baqi mere liye bhi kahin kuchh nahin raha
miTTi ne apne sare KHazane ugal diye
lagta hai aur zer-e-zamin kuchh nahin raha
afzal har ek shai se wahan sirf main hi tha
ye aur baat hai ki yahin kuchh nahin raha
dil ki jo wusaton ka kabhi aa gaya KHayal
phir to nazar mein arsh-e-barin kuchh nahin raha
us ki bas ek nigah se qissa hua tamam
hangama-e-chunan-o-chunin kuchh nahin raha
main ne kaha ki jo bhi hai lauTaiye mujhe
us ne diya jawab nahin kuchh nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.