Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us shoKH ko mail-ba-wafa dekh raha hun

Shaida Ambalvi

us shoKH ko mail-ba-wafa dekh raha hun

Shaida Ambalvi

MORE BYShaida Ambalvi

    us shoḳh ko mā.il-ba-vafā dekh rahā huuñ

    kyā baat hai yā-rab ye maiñ kyā dekh rahā huuñ

    dekhe to koī zauq-e-nazar ye tamāshā

    maiñ parda-e-zulmat meñ ziyā dekh rahā huuñ

    har chiiz haqīqat meñ hai vābasta-e-markaz

    har chiiz ko markaz se judā dekh rahā huuñ

    is jalve ne ehsān kiyā jab se nazar par

    har shai meñ ise jalva-numā dekh rahā huuñ

    har shaḳhs hai dīvāna yahāñ apnī ġharaz

    ye kaisī zamāne havā dekh rahā huuñ

    jo shaḳhs hai fir.aun hai jo banda hai namrūd

    duniyā meñ hazāroñ ḳhudā dekh rahā huuñ

    kyā dekh rahā huuñ ye kahūñ kyā maiñ kisī se

    ḳhud soch meñ huuñ ġharq maiñ kyā dekh rahā huuñ

    us shoḳh har baat dil-āvez hai ya.anī

    har baat meñ ik lutf nayā dekh rahā huuñ

    ma.alūm nahīñ ishq kise kahte haiñ 'shaidā'

    dil meñ magar ik hashr bapā dekh rahā huuñ

    us shoKH ko mail-ba-wafa dekh raha hun

    kya baat hai ya-rab ye main kya dekh raha hun

    dekhe to koi zauq-e-nazar ka ye tamasha

    main parda-e-zulmat mein ziya dekh raha hun

    har chiz haqiqat mein hai wabasta-e-markaz

    har chiz ko markaz se juda dekh raha hun

    is jalwe ne ehsan kiya jab se nazar par

    har shai mein ise jalwa-numa dekh raha hun

    har shaKHs hai diwana yahan apni gharaz ka

    ye kaisi zamane ki hawa dekh raha hun

    jo shaKHs hai firaun hai jo banda hai namrud

    duniya mein hazaron hi KHuda dekh raha hun

    kya dekh raha hun ye kahun kya main kisi se

    KHud soch mein hun gharq main kya dekh raha hun

    us shoKH ki har baat dil-awez hai yani

    har baat mein ek lutf naya dekh raha hun

    malum nahin ishq kise kahte hain 'shaida'

    dil mein magar ek hashr bapa dekh raha hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now