us sitamgar se aashnai ki
us sitamgar se āshnā.ī kī
umr bhar jis ne bevafā.ī kī
hañste hañste hī toḌnā dil kā
ik adā hai ye dilrubā.ī kī
maiñ ki ḳhāmosh ishq kā tālib
un ko aadat hai ḳhud-numā.ī kī
dard-o-ġham aur karb kā aalam
haa.e kyā raat thī judā.ī kī
un kā dīdār garche mushkil thā
jur.at-e-shauq ne rasā.ī kī
na chalā gard-e-kārvāñ tak maiñ
intihā hai shikasta-pā.ī kī
jab asīrī meñ qurb ho un kā
kaun ḳhvāhish kare rihā.ī kī
ranj-o-ġham meñ bhī mutma.in rakhnā
ye to hai shaan kibriyā.ī kī
ġham kī tārīk vādiyoñ meñ 'azīm'
dil ke zaḳhmoñ ne rahnumā.ī kī
us sitamgar se aashnai ki
umr bhar jis ne bewafai ki
hanste hanste hi toDna dil ka
ek ada hai ye dilrubai ki
main ki KHamosh ishq ka talib
un ko aadat hai KHud-numai ki
dard-o-gham aur karb ka aalam
hae kya raat thi judai ki
un ka didar garche mushkil tha
jurat-e-shauq ne rasai ki
na chala gard-e-karwan tak main
intiha hai shikasta-pai ki
jab asiri mein qurb ho un ka
kaun KHwahish kare rihai ki
ranj-o-gham mein bhi mutmain rakhna
ye to hai shan kibriyai ki
gham ki tarik wadiyon mein 'azim'
dil ke zaKHmon ne rahnumai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.