us taraf ahl-e-hasad hain jo bujhate hain charagh
us taraf ahl-e-hasad haiñ jo bujhāte haiñ charāġh
is taraf ham haiñ charāġhoñ se jalāte haiñ charāġh
chain māñ-bāp kī āñkhoñ ko nahīñ aatā hai
jab talak lauT ke ghar meñ nahīñ aate haiñ charāġh
ye taraqqī hai ki tahzīb kā girtā me.aar
āñkheñ is daur meñ sūraj se milāte haiñ charāġh
is taraf vo bhī pareshāñ haiñ mohabbat kar ke
raat bhar ham bhī jalāte haiñ bujhāte haiñ charāġh
maiñ za.īfī ke añdheroñ meñ paḌā huuñ apne
kab talak dekho mirā saath nibhāte haiñ charāġh
sab kī fitrat meñ nahīñ hotā ujāle karnā
apne ghar ko bhī kabhī aag lagāte haiñ charāġh
ho ga.ī ḳhaak mohabbat kī kahānī kab kī
aur ham aaj bhī maazī ke jalāte haiñ charāġh
ham se aatī nahīñ nafrat kī tijārat ai 'farāz'
ham suḳhan-var haiñ mohabbat ke jalāte haiñ charāġh
us taraf ahl-e-hasad hain jo bujhate hain charagh
is taraf hum hain charaghon se jalate hain charagh
chain man-bap ki aankhon ko nahin aata hai
jab talak lauT ke ghar mein nahin aate hain charagh
ye taraqqi hai ki tahzib ka girta mear
aankhen is daur mein suraj se milate hain charagh
is taraf wo bhi pareshan hain mohabbat kar ke
raat bhar hum bhi jalate hain bujhate hain charagh
main zaifi ke andheron mein paDa hun apne
kab talak dekho mera sath nibhate hain charagh
sab ki fitrat mein nahin hota ujale karna
apne ghar ko bhi kabhi aag lagate hain charagh
ho gai KHak mohabbat ki kahani kab ki
aur hum aaj bhi mazi ke jalate hain charagh
hum se aati nahin nafrat ki tijarat ai 'faraaz'
hum suKHan-war hain mohabbat ke jalate hain charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.