us zamin par hun ki jis ka aasman gum ho gaya hai
us zamīñ par huuñ ki jis kā āsmāñ gum ho gayā hai
chilchilātī dhuup sar par sā.ebāñ gum ho gayā hai
the nishāñ jo manziloñ ke ban ga.e haiñ sang-e-hairat
rāstoñ ke pech-o-ḳham meñ kārvāñ gum ho gayā hai
haañ yahī bastī ki jis meñ kuchh khañDar kuchh jhoñpaḌe haiñ
ek chhappar kā mirā ghar thā yahāñ gum ho gayā hai
kal yahāñ sailāb-e-ġham thā bichh ga.ī haiñ aaj āñkheñ
ḳhushk haiñ sahrā ke lab āb-e-ravāñ gum ho gayā hai
un se kyā bichhḌe 'sarosh' ab zindagī hī rā.egāñ hai
aisā lagtā hai ki jaise kul jahāñ gum ho gayā hai
us zamin par hun ki jis ka aasman gum ho gaya hai
chilchilati dhup sar par saeban gum ho gaya hai
the nishan jo manzilon ke ban gae hain sang-e-hairat
raston ke pech-o-KHam mein karwan gum ho gaya hai
han yahi basti ki jis mein kuchh khanDar kuchh jhonpaDe hain
ek chhappar ka mera ghar tha yahan gum ho gaya hai
kal yahan sailab-e-gham tha bichh gai hain aaj aankhen
KHushk hain sahra ke lab aab-e-rawan gum ho gaya hai
un se kya bichhDe 'sarosh' ab zindagi hi raegan hai
aisa lagta hai ki jaise kul jahan gum ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.