use ahd-e-mohabbat se mukar jaane ki jaldi thi
use ahd-e-mohabbat se mukar jaane ki jaldi thi
Wajid Husain Saahil
MORE BYWajid Husain Saahil
use 'ahd-e-mohabbat se mukar jaane kī jaldī thī
thamī bārish to dariyā ko utar jaane kī jaldī thī
bichhaḌ kar us ko bhī shāyad na.ī duniyā basānī thī
mujhe bhī TuuT kar ḳhud hī bikhar jaane kī jaldī thī
sabab koī to batlā do yuuñ us ke duur jaane kā
use mujh se judā ho kar kidhar jaane kī jaldī thī
ye chāhat rind kī thī raat bhar piitā rahūñ lekin
udhar saaqī ko bhī to apne ghar jaane kī jaldī thī
use bhī shauq thā har baat par nuqta batāne kā
mujhe bhī tanz sun sun kar nikhar jaane kī jaldī thī
madad ke vāste ghāyal kī ruktā kaun saḌkoñ par
vahāñ har shaḳhs ko bach kar guzar jaane kī jaldī thī
tabīb-e-shahr tere in davā-ḳhānoñ se ghabrā kar
ġharīb-e-shahr ko bistar pe mar jaane kī jaldī thī
tavaqqo' hī na kī marham kī un se maiñ ne bhī 'sāhil'
mire zaḳhmoñ ko to aise hī bhar jaane kī jaldī thī
use 'ahd-e-mohabbat se mukar jaane ki jaldi thi
thami barish to dariya ko utar jaane ki jaldi thi
bichhaD kar us ko bhi shayad nai duniya basani thi
mujhe bhi TuT kar KHud hi bikhar jaane ki jaldi thi
sabab koi to batla do yun us ke dur jaane ka
use mujh se juda ho kar kidhar jaane ki jaldi thi
ye chahat rind ki thi raat bhar pita rahun lekin
udhar saqi ko bhi to apne ghar jaane ki jaldi thi
use bhi shauq tha har baat par nuqta batane ka
mujhe bhi tanz sun sun kar nikhar jaane ki jaldi thi
madad ke waste ghayal ki rukta kaun saDkon par
wahan har shaKHs ko bach kar guzar jaane ki jaldi thi
tabib-e-shahr tere in dawa-KHanon se ghabra kar
gharib-e-shahr ko bistar pe mar jaane ki jaldi thi
tawaqqo' hi na ki marham ki un se main ne bhi 'sahil'
mere zaKHmon ko to aise hi bhar jaane ki jaldi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.