use bhi paD gaya ek din hamare nam se kaam
use bhī paḌ gayā ik din hamāre naam se kaam
tamām 'umr jo rakhtā thā apne kaam se kaam
karam kī baat hai ye to ki bādshāhoñ kā
nikal rahā hai huzūr aap ke ġhulām se kaam
hamāre paañv ke ye zaḳhm bhar diye jaa.eñ
ki paḌ gayā hai hameñ ek tez-gām se kaam
sharāb-e-‘ishq palaT dī kisī ne āñkhoñ se
chalā rahā thā vagarna maiñ ḳhālī jaam se kaam
hai ḳhuub she'rī bunat aap kī magar 'sayyad'
nazar meñ chaḌhte nahīñ us kī itne 'aam se kaam
use bhi paD gaya ek din hamare nam se kaam
tamam 'umr jo rakhta tha apne kaam se kaam
karam ki baat hai ye to ki baadshahon ka
nikal raha hai huzur aap ke ghulam se kaam
hamare panw ke ye zaKHm bhar diye jaen
ki paD gaya hai hamein ek tez-gam se kaam
sharab-e-‘ishq palaT di kisi ne aankhon se
chala raha tha wagarna main KHali jam se kaam
hai KHub she'ri bunat aap ki magar 'sayyad'
nazar mein chaDhte nahin us ki itne 'am se kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.