use ghurur bahut ab hai parsai ka
use ġhurūr bahut ab hai pārsā.ī kā
koī to ho ke jo da.avā kare ḳhudā.ī kā
use ye ranj ki us kā kahā nahīñ maanā
mujhe malāl huā apnī nā-rasā.ī kā
tū vaqt rahte mujhe kyoñ sadā nahīñ detā
kabhī to lutf uThā merī ham-navā.ī kā
qafas badan kā jo ik aan meñ idhar TuuTā
to ruuh jashn manāne lagī rihā.ī kā
use bhī apne ka.ī dost mil ga.e 'amrit'
tujhe bhī vaqt milā ḳhud se āshnā.ī kā
use ghurur bahut ab hai parsai ka
koi to ho ke jo dawa kare KHudai ka
use ye ranj ki us ka kaha nahin mana
mujhe malal hua apni na-rasai ka
tu waqt rahte mujhe kyon sada nahin deta
kabhi to lutf uTha meri ham-nawai ka
qafas badan ka jo ek aan mein idhar TuTa
to ruh jashn manane lagi rihai ka
use bhi apne kai dost mil gae 'amrit'
tujhe bhi waqt mila KHud se aashnai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.