use ek ajnabi khiDki se jhanka
use ik ajnabī khiḌkī se jhāñkā
zamāne ko na.ī khiḌkī se jhāñkā
vo puurā chāñd thā lekin hamesha
galī meñ adh-khulī khiḌkī se jhāñkā
meñ pahlī martaba nashshe meñ aayā
koī jab dūsrī khiḌkī se jhāñkā
amar hone kī ḳhvāhish mar ga.ī thī
jab is ne dā.imī khiḌkī se jhāñkā
meñ sabze par chalā thā nañge paañv
sahar dam shabnamī khiḌkī se jhāñkā
mujhe bhāte haiñ lamhe iḳhtitāmī
meñ pahle āḳhirī khiḌkī se jhāñkā
use ek ajnabi khiDki se jhanka
zamane ko nai khiDki se jhanka
wo pura chand tha lekin hamesha
gali mein adh-khuli khiDki se jhanka
mein pahli martaba nashshe mein aaya
koi jab dusri khiDki se jhanka
amar hone ki KHwahish mar gai thi
jab is ne daimi khiDki se jhanka
mein sabze par chala tha nange panw
sahar dam shabnami khiDki se jhanka
mujhe bhate hain lamhe iKHtitami
mein pahle aaKHiri khiDki se jhanka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.