use jhukna paDa uski anaon par zawal aaya
use jhuknā paḌā us kī anāoñ par zavāl aayā
tirī ḳhātir kisī ḳhud.dār ke lab par savāl aayā
kisī ne mīThe paanī ke ghaḌoñ ko phoḌnā chāhā
kuñvārī chhātiyoñ vaalī ke chehre par jalāl aayā
ḳhudā-e-ahsan-e-taqvīm par kuchh uñgliyāñ uTThīñ
jab ik ḳhvāja-sarā ko baap banñe kā ḳhayāl aayā
ye gadle pāniyoñ meñ qaid kar deñge kahīñ chhup jā
kahīñ chhup jā ai merī jal-parī vo dekh jaal aayā
du'ā māñgī tire joban ko rab tābindagī baḳhshe
hamāre sar meñ pahlī baar jab chāñdī kā baal aayā
mire andar ke hañste khelte mā'sūm bachche par
tire tark-e-ta'alluq se yatīmī kā vabāl aayā
use jhukna paDa us ki anaon par zawal aaya
teri KHatir kisi KHuddar ke lab par sawal aaya
kisi ne miThe pani ke ghaDon ko phoDna chaha
kunwari chhatiyon wali ke chehre par jalal aaya
KHuda-e-ahsan-e-taqwim par kuchh ungliyan uTThin
jab ek KHwaja-sara ko bap banne ka KHayal aaya
ye gadle paniyon mein qaid kar denge kahin chhup ja
kahin chhup ja ai meri jal-pari wo dekh jal aaya
du'a mangi tere joban ko rab tabindagi baKHshe
hamare sar mein pahli bar jab chandi ka baal aaya
mere andar ke hanste khelte ma'sum bachche par
tere tark-e-ta'alluq se yatimi ka wabaal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.