use jine ka lalach hai na wo marne se Darta hai
use jiine kā lālach hai na vo marne se Dartā hai
to kyā ye shaḳhs bhī gum-nāmiyoñ kī maut martā hai
ajab vīrāni-e-dil hai sisaktā hai vahāñ koī
ab aise bahr-e-tanhā.ī se vo kis paar utartā hai
vahāñ kis kī nazar jaatī hai ik do chaar kāñToñ par
jahāñ ik peḌ jo phūloñ ke gahnoñ se sañvartā hai
hisār-e-lams kī lazzat meñ khoyā hai badan us kā
ye qaidī kyā kabhī is jaal se bach kar guzartā hai
ajab hai ek sang-e-be-navā sī dostī us kī
na ye is se mukartā hai na vo us ko akhartā hai
vo barg-e-be-shajar apne qabīle se judā ho kar
havāoñ ke thapeḌoñ se laraztā aur bikhartā hai
abhī tak to sag-e-iz.hār vo mujh par nahīñ chhoḌā
mirī ārā.ish-e-guftār ke nashtar se Dartā hai
ye mushkil baat bhī lekin baḌā āsān nusḳha bhī
nahīñ nafrat kisī se bhī sabhī se pyaar kartā hai
use jine ka lalach hai na wo marne se Darta hai
to kya ye shaKHs bhi gum-namiyon ki maut marta hai
ajab virani-e-dil hai sisakta hai wahan koi
ab aise bahr-e-tanhai se wo kis par utarta hai
wahan kis ki nazar jati hai ek do chaar kanTon par
jahan ek peD jo phulon ke gahnon se sanwarta hai
hisar-e-lams ki lazzat mein khoya hai badan us ka
ye qaidi kya kabhi is jal se bach kar guzarta hai
ajab hai ek sang-e-be-nawa si dosti us ki
na ye is se mukarta hai na wo us ko akharta hai
wo barg-e-be-shajar apne qabile se juda ho kar
hawaon ke thapeDon se larazta aur bikharta hai
abhi tak to sag-e-izhaar wo mujh par nahin chhoDa
meri aaraish-e-guftar ke nashtar se Darta hai
ye mushkil baat bhi lekin baDa aasan nusKHa bhi
nahin nafrat kisi se bhi sabhi se pyar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.