use jo dekha to dekh kar wo laga mohabbat ka ek sitara
use jo dekhā to dekh kar vo lagā mohabbat kā ik sitārā
zamīñ se ho kar guzar rahā thā ḳhudā kī rahmat kā ik sitārā
thakī huī shab jahāñ rukī thī jahāñ Duboyā thā chāñd us ne
duā meñ shab ne girā diyā us jagah pe qismat kā ik sitārā
bahā.e hijrat meñ ashk lākhoñ magar kahāñ thī vo baat un meñ
jo baat us meñ hai jo girā hai mizha se qurbat kā ik sitārā
jo 'ishq karte haiñ āsmāñ se vo ḳhvāb maiñ ne banā liye haiñ
unheñ paroñ se navāz kar phir banāyā vahshat kā ik sitārā
sukūñ pe ye iztirāb hai ab ḳhudāyā koī to mo'jiza ho
falak se TuuTe gire mirī chhat pe us kī sohbat kā ik sitārā
savāl ham ne kiyā thā tum se kyā 'ishq jaisā tumheñ bhī kuchh hai
chamak rahā hai hamārī āñkhoñ meñ ab bhī raġhbat kā ik sitārā
sarāb afshāñ tavīl rāheñ mohabbatoñ ko bulā rahī haiñ
unheñ pata hai ki hai mohabbat meñ hī suhūlat kā ik sitārā
hinā se likhā mirī hathelī pe naam terā mahak rahā hai
shaġhl yahī hai yahī hai merī siyāh fursat kā ik sitārā
hayāt raushan sī ho ga.ī hai jo ruuh meñ tū huā hai shāmil
tire laboñ se mire laboñ ne piyā thā ruḳhsat kā ik sitārā
tumhārī mahfil meñ chāñd ban kar maiñ aa na paa.ī mu'āf karnā
sajā diyā hai tumhārī mahfil meñ maiñ ne ḳhalvat kā ik sitārā
shadīd mere fasāne jaisā nahīñ fasāna-e-ishq koī
savāb jaisā milā hai mujh ko terī 'ināyat kā ik sitārā
murād māñgī thī titliyoñ ne ḳhizāñ bhī phūloñ ko nuur baḳhshe
balā kī sāda-dilī pe TuuTā bahār-e-jannat kā ik sitārā
use jo dekha to dekh kar wo laga mohabbat ka ek sitara
zamin se ho kar guzar raha tha KHuda ki rahmat ka ek sitara
thaki hui shab jahan ruki thi jahan Duboya tha chand us ne
dua mein shab ne gira diya us jagah pe qismat ka ek sitara
bahae hijrat mein ashk lakhon magar kahan thi wo baat un mein
jo baat us mein hai jo gira hai mizha se qurbat ka ek sitara
jo 'ishq karte hain aasman se wo KHwab main ne bana liye hain
unhen paron se nawaz kar phir banaya wahshat ka ek sitara
sukun pe ye iztirab hai ab KHudaya koi to mo'jiza ho
falak se TuTe gire meri chhat pe us ki sohbat ka ek sitara
sawal hum ne kiya tha tum se kya 'ishq jaisa tumhein bhi kuchh hai
chamak raha hai hamari aankhon mein ab bhi raghbat ka ek sitara
sarab afshan tawil rahen mohabbaton ko bula rahi hain
unhen pata hai ki hai mohabbat mein hi suhulat ka ek sitara
hina se likha meri hatheli pe nam tera mahak raha hai
shaghl yahi hai yahi hai meri siyah fursat ka ek sitara
hayat raushan si ho gai hai jo ruh mein tu hua hai shamil
tere labon se mere labon ne piya tha ruKHsat ka ek sitara
tumhaari mahfil mein chand ban kar main aa na pai mu'af karna
saja diya hai tumhaari mahfil mein main ne KHalwat ka ek sitara
shadid mere fasane jaisa nahin fasana-e-ishq koi
sawab jaisa mila hai mujh ko teri 'inayat ka ek sitara
murad mangi thi titliyon ne KHizan bhi phulon ko nur baKHshe
bala ki sada-dili pe TuTa bahaar-e-jannat ka ek sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.