use kah do hawadis ke bichhe hain jal saDkon par
use kah do havādis ke bichhe haiñ jaal saḌkoñ par
chalā kartā hai jo har dam ghamanDī chaal saḌkoñ par
agar maslak ke jhagḌoñ ne masājid baañT rakkhī haiñ
to phir bahr-e-ḳhudā apne musalle Daal saḌkoñ par
koī signal ke vaqfe tak bhī rukne ko nahīñ raazī
gañvā detā hai koī hañs ke sāloñ-sāl saḌkoñ par
mashīneñ gāḌiyāñ hī ghūmtī haiñ rāt-din yaaro
hamāre daur meñ hai aadmī kā kaal saḌkoñ par
bigaḌ jaatī hai jab taqdīr kī aur vaqt kī gaaḌī
utar aate haiñ sultāñ ban ke phir kangāl saḌkoñ par
kuñvārī koī machhlī shab meñ tanhā ghar se na nikle
ki shab meñ phirte haiñ bhūke ka.ī ghaḌiyāl saḌkoñ par
nahīñ gar naam merā na sahī par kam se kam ye ho
mirī ġhazleñ chaleñ us ke laboñ kī laal saḌkoñ par
chaman kī samt jaatī titliyāñ rah se bhaTak jaa.eñ
vo lahrā de jo gul jaise mahakte baal saḌkoñ par
'nabīl' is tarah chimTī hai kisī kī yaad is dil se
jamī rahtī hai jaise gard kī ik shaal saḌkoñ par
use kah do hawadis ke bichhe hain jal saDkon par
chala karta hai jo har dam ghamanDi chaal saDkon par
agar maslak ke jhagDon ne masajid banT rakkhi hain
to phir bahr-e-KHuda apne musalle Dal saDkon par
koi signal ke waqfe tak bhi rukne ko nahin raazi
ganwa deta hai koi hans ke salon-sal saDkon par
mashinen gaDiyan hi ghumti hain raat-din yaro
hamare daur mein hai aadmi ka kal saDkon par
bigaD jati hai jab taqdir ki aur waqt ki gaDi
utar aate hain sultan ban ke phir kangal saDkon par
kunwari koi machhli shab mein tanha ghar se na nikle
ki shab mein phirte hain bhuke kai ghaDiyal saDkon par
nahin gar nam mera na sahi par kam se kam ye ho
meri ghazlen chalen us ke labon ki lal saDkon par
chaman ki samt jati titliyan rah se bhaTak jaen
wo lahra de jo gul jaise mahakte baal saDkon par
'nabil' is tarah chimTi hai kisi ki yaad is dil se
jami rahti hai jaise gard ki ek shaal saDkon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.