use kaho ki mere samne Thahar jae
use kaho ki mire sāmne Thahar jaa.e
bas itnī der ki mahshar kā din guzar jaa.e
kabhī huā hai ki shab ruk sake ba-vaqt-e-sahar
ki phuul qatl karo aur bahār mar jaa.e
maiñ chāhtā huuñ koī aisā saaz phūñk ab ke
mirā vujūd mire sāmne bikhar jaa.e
tumhārī yaad meñ Dūbūñ to hashr se niklūñ
yahī tarīqa hai mumkin hai kaam kar jaa.e
nazar nazar meñ gaḌī hai to saañs chal rahī hai
palak jhapakne meñ ye zindagī guzar jaa.e
birājmān haiñ mujh jaise rind raat ga.e
ki bazm-e-sāqī sajī ho to kaun ghar jaa.e
sirāt kā hai ye e'lān koī kalma-go
'alī kā paas liye aa.e aur guzar jaa.e
tavīl itnā hai ashkoñ kā silsila 'shāhid'
agar maiñ aañkh uñDelūñ to 'umr bhar jaa.e
use kaho ki mere samne Thahar jae
bas itni der ki mahshar ka din guzar jae
kabhi hua hai ki shab ruk sake ba-waqt-e-sahar
ki phul qatl karo aur bahaar mar jae
main chahta hun koi aisa saz phunk ab ke
mera wujud mere samne bikhar jae
tumhaari yaad mein Dubun to hashr se niklun
yahi tariqa hai mumkin hai kaam kar jae
nazar nazar mein gaDi hai to sans chal rahi hai
palak jhapakne mein ye zindagi guzar jae
birajman hain mujh jaise rind raat gae
ki bazm-e-saqi saji ho to kaun ghar jae
siraat ka hai ye e'lan koi kalma-go
'ali ka pas liye aae aur guzar jae
tawil itna hai ashkon ka silsila 'shahid'
agar main aankh unDelun to 'umr bhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.