use KHud ko badal lena gawara bhi nahin hota
use ḳhud ko badal lenā gavāra bhī nahīñ hotā
hamārā aisī duniyā meñ guzāra bhī nahīñ hotā
hameñ is moḌ par le aate haiñ ye ḳhuun ke rishte
ki jiine ke 'alāva aur chāra bhī nahīñ hotā
ye saare chāñd sūraj un ke qadmoñ meñ hī rahte haiñ
hamāre haath meñ kyuuñ ek taara bhī nahīñ hotā
Dubo detīñ hameñ dariyā-e-māh-o-sāl kī maujeñ
is ik lamhe kā jo hāsil sahārā bhī nahīñ hotā
ta'ajjub hai ki ham aksar vahīñ par Duub jaate haiñ
jahāñ se duur āñkhoñ meñ kināra bhī nahīñ hotā
sabhī ko shahr apnā dilkash-o-dilchasp lagtā hai
agarche vo samarqand-o-buḳhārā bhī nahīñ hotā
ye kin nā-āshnā logoñ kī bastī meñ chale aa.e
suḳhan kaisā kahīñ se ik ishāra bhī nahīñ hotā
muḳhālif mausam-e-dil hī nahīñ hotā masāfat meñ
muāfiq kuchh 'salīm' apnā sitāra bhī nahīñ hotā
use KHud ko badal lena gawara bhi nahin hota
hamara aisi duniya mein guzara bhi nahin hota
hamein is moD par le aate hain ye KHun ke rishte
ki jine ke 'alawa aur chaara bhi nahin hota
ye sare chand suraj un ke qadmon mein hi rahte hain
hamare hath mein kyun ek tara bhi nahin hota
Dubo detin hamein dariya-e-mah-o-sal ki maujen
is ek lamhe ka jo hasil sahaara bhi nahin hota
ta'ajjub hai ki hum aksar wahin par Dub jate hain
jahan se dur aankhon mein kinara bhi nahin hota
sabhi ko shahr apna dilkash-o-dilchasp lagta hai
agarche wo samarqand-o-buKHara bhi nahin hota
ye kin na-ashna logon ki basti mein chale aae
suKHan kaisa kahin se ek ishaara bhi nahin hota
muKHalif mausam-e-dil hi nahin hota masafat mein
muafiq kuchh 'salim' apna sitara bhi nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.