use laga tha kisi aur hi gali mein hua
use lagā thā kisī aur hī galī meñ huā
jo hādisa thā ḳhabar meñ mirī galī meñ huā
do ek log nahīñ the bharī galī meñ huā
tujhe ḳhabar hai tamāshā tirī galī meñ huā
hamārī baat gharoñ kī gharoñ meñ kyoñ na rahī
hamārā faisla kyūñkar kisī galī meñ huā
mirī ghaḌī to rukī hai mujhe batāo zarā
tulū’-e-sub.h yahāñ kaun sī galī meñ huā
phir ek shaḳhs khaḌā dekhtā thā har ghar ko
ki ghar kā dukh thā use aur dukhī galī meñ huā
'ajīb qatl thā āvāz tak na aa.ī koī
na koī shor sharāba kisī galī meñ huā
tumhārā mujh se bichhaḌne kā tazkira har pal
barā.e bahs huā aur galī galī meñ huā
jahāñ se rāste apne judā hue the 'uzair'
hamārā sāmnā phir se usī galī meñ huā
use laga tha kisi aur hi gali mein hua
jo hadisa tha KHabar mein meri gali mein hua
do ek log nahin the bhari gali mein hua
tujhe KHabar hai tamasha teri gali mein hua
hamari baat gharon ki gharon mein kyon na rahi
hamara faisla kyunkar kisi gali mein hua
meri ghaDi to ruki hai mujhe batao zara
tulu’-e-subh yahan kaun si gali mein hua
phir ek shaKHs khaDa dekhta tha har ghar ko
ki ghar ka dukh tha use aur dukhi gali mein hua
'ajib qatl tha aawaz tak na aai koi
na koi shor sharaba kisi gali mein hua
tumhaara mujh se bichhaDne ka tazkira har pal
barae bahs hua aur gali gali mein hua
jahan se raste apne juda hue the 'uzair'
hamara samna phir se usi gali mein hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.