Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use malum hai sab kuchh wahi hai raaz-dan apna

Faisal Azeem

use malum hai sab kuchh wahi hai raaz-dan apna

Faisal Azeem

MORE BYFaisal Azeem

    use ma.alūm hai sab kuchh vahī hai rāz-dāñ apnā

    magar mujh se sunñā chāhtā hai vo bayāñ apnā

    yahāñ par shaan jaatī hai vahāñ par jaan jaatī hai

    zamīñ chhūTī to lagtā hai ki chhūTā āsmāñ apnā

    jo guzrā hai so guzrā hai jo aa.egā so aa.egā

    jo ab hai vo bhalā kab hai koī lamha kahāñ apnā

    maiñ jis ke dil meñ rahtā huuñ maiñ jis dhun meñ raqsāñ huuñ

    vo apnī dhun pe gaatā hai to hotā hai gumāñ apnā

    vahāñ ḳhāmosh baiThe the yahāñ to baat karte haiñ

    vahāñ kyuuñ thā ziyāñ apnā yahāñ kyoñ ho ziyāñ apnā

    ye sadiyāñ biit jaatī haiñ magar lamhe nahīñ kaTte

    jo ghaTtā hai to baḌh jaatā hai kuchh bār-e-garāñ apnā

    use malum hai sab kuchh wahi hai raaz-dan apna

    magar mujh se hi sunna chahta hai wo bayan apna

    yahan par shan jati hai wahan par jaan jati hai

    zamin chhuTi to lagta hai ki chhuTa aasman apna

    jo guzra hai so guzra hai jo aaega so aaega

    jo ab hai wo bhala kab hai koi lamha kahan apna

    main jis ke dil mein rahta hun main jis ki dhun mein raqsan hun

    wo apni dhun pe gata hai to hota hai guman apna

    wahan KHamosh baiThe the yahan to baat karte hain

    wahan kyun tha ziyan apna yahan kyon ho ziyan apna

    ye sadiyan bit jati hain magar lamhe nahin kaTte

    jo ghaTta hai to baDh jata hai kuchh bar-e-garan apna

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 526)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now