use pasand hain jo roz-o-shab tamashe hain
use pasand haiñ jo roz-o-shab tamāshe haiñ
tamāshbīn kī duniyā hī ab tamāshe haiñ
hamārī qaum ko jab se milī hai āzādī
hamāre mulk meñ jaarī ajab tamāshe haiñ
tujhe tarīqat-e-ushshāq kī ḳhabar hī nahīñ
tirī nigāh meñ vo chashm-o-lab tamāshe haiñ
tamāshā dekhne vāloñ pe sehr taarī hai
tamāshā dekhne vaale bhī ab tamāshe haiñ
bahut sī āñkhoñ ko is baat kī bhanak hī nahīñ
idhar udhar jo tamāshā-talab tamāshe haiñ
vo shakl jab na rahī zindagī ke mele meñ
fuzūl merī nigāhoñ meñ sab tamāshe haiñ
dil-o-nigāh pe ik bojh ban chuke 'yāvar'
jo in dinoñ sar-e-shahr-e-adab tamāshe haiñ
use pasand hain jo roz-o-shab tamashe hain
tamashbin ki duniya hi ab tamashe hain
hamari qaum ko jab se mili hai aazadi
hamare mulk mein jari ajab tamashe hain
tujhe tariqat-e-ushshaq ki KHabar hi nahin
teri nigah mein wo chashm-o-lab tamashe hain
tamasha dekhne walon pe sehr tari hai
tamasha dekhne wale bhi ab tamashe hain
bahut si aankhon ko is baat ki bhanak hi nahin
idhar udhar jo tamasha-talab tamashe hain
wo shakl jab na rahi zindagi ke mele mein
fuzul meri nigahon mein sab tamashe hain
dil-o-nigah pe ek bojh ban chuke 'yawar'
jo in dinon sar-e-shahr-e-adab tamashe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.