use pata nahin kya lutf inkisar mein hai
use pata nahīñ kyā lutf inkisār meñ hai
jo shaḳhs aaj bhī masrūf kār-zār meñ hai
ye sochte hue sūraj ne aañkh jhapkā.ī
fasīl-e-shab se pare koī intizār meñ hai
jab uḌtī ret ne putlī pe aa ke dastak dī
to jaan paayā ki sahrā bhī rahguzār meñ hai
jahān chhoḌ jahānoñ ke mohtasib se pūchh
hamārī girya-o-zārī kisī shumār meñ hai
baḌe makān ke saare makīn bhuul ga.e
havā kā zor parindoñ ke iḳhtiyār meñ hai
mire vajūd ke malbe ko sarsarī na sameT
ga.e dinoñ kī chamak bhī tah-e-ġhubār meñ hai
shab-e-firāq tirā saath kis tarah dūñgā
tamām din kī thakan jism ke madār meñ hai
taḌap rahā huuñ maiñ jis fard ke liye 'azvar'
yahāñ se duur kisī dūsre dayār meñ hai
use pata nahin kya lutf inkisar mein hai
jo shaKHs aaj bhi masruf kar-zar mein hai
ye sochte hue suraj ne aankh jhapkai
fasil-e-shab se pare koi intizar mein hai
jab uDti ret ne putli pe aa ke dastak di
to jaan paya ki sahra bhi rahguzar mein hai
jahan chhoD jahanon ke mohtasib se puchh
hamari girya-o-zari kisi shumar mein hai
baDe makan ke sare makin bhul gae
hawa ka zor parindon ke iKHtiyar mein hai
mere wajud ke malbe ko sarsari na sameT
gae dinon ki chamak bhi tah-e-ghubar mein hai
shab-e-firaq tera sath kis tarah dunga
tamam din ki thakan jism ke madar mein hai
taDap raha hun main jis fard ke liye 'azwar'
yahan se dur kisi dusre dayar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.