use rah-guzar koi kha gai ya bichhaD ke apne hi ghar gaya
use rah-guzar koi kha gai ya bichhaD ke apne hi ghar gaya
Samar Khanabadosh
MORE BYSamar Khanabadosh
use rah-guzar koī khā ga.ī yā bichhaḌ ke apne hī ghar gayā
vo jo 'umr-bhar kī rafāqatoñ kā thā mudda'ī vo kidhar gayā
vo jo ḳhvāb the vo bikhar ga.e vo jo aas thī vo simaT ga.ī
mujhe ḳhauf jis kā thā har ghaḌī mirā ham-navā vahī kar gayā
ye na.e zamāne kī riit hai tirī kyā ḳhatā tujhe kyā kahūñ
tujhe dil se jis ne lagāyā thā vahī tere dil se utar gayā
na.ī sohbatoñ kī suhānī rut tujhe raas aa.e mubāraka
vo jo jurm tark-e-vafā kā hai zarā soch kis ke vo sar gayā
nahīñ sahl 'ishq kī rah-guzar maiñ alam-nasīb-o-ḳhatā-sarisht
ai na.e na.e se musāfiro jo chalā to chal ke bikhar gayā
kabhī sehn-e-dil meñ udāsiyāñ jo baḌhīñ to saaz meñ Dhal ga.iiñ
kabhī ġham jo merī asaas hai mirī chashm-e-tar meñ Thahar gayā
ai sharīk-e-bazm na pūchh bas vo jo ham-safar the vo kyā hue
koī do qadam bhī na chal sakā koī darmiyāñ se hī ghar gayā
mirī zaat musht-e-ġhubār hai tirā aḳhtaroñ meñ shumār hai
zarā ye batā ki bichhaḌ ke tū kahāñ rif'atoñ pe Thahar gayā
maiñ phirūñ huuñ bār-e-jafā liye kabhī is Dagar kabhī us nagar
ki 'samar' yahāñ kā rivāj hai jo bhī chup rahā vahī mar gayā
use rah-guzar koi kha gai ya bichhaD ke apne hi ghar gaya
wo jo 'umr-bhar ki rafaqaton ka tha mudda'i wo kidhar gaya
wo jo KHwab the wo bikhar gae wo jo aas thi wo simaT gai
mujhe KHauf jis ka tha har ghaDi mera ham-nawa wahi kar gaya
ye nae zamane ki rit hai teri kya KHata tujhe kya kahun
tujhe dil se jis ne lagaya tha wahi tere dil se utar gaya
nai sohbaton ki suhani rut tujhe ras aae mubaraka
wo jo jurm tark-e-wafa ka hai zara soch kis ke wo sar gaya
nahin sahl 'ishq ki rah-guzar main alam-nasib-o-KHata-sarisht
ai nae nae se musafiro jo chala to chal ke bikhar gaya
kabhi sehn-e-dil mein udasiyan jo baDhin to saz mein Dhal gain
kabhi gham jo meri asas hai meri chashm-e-tar mein Thahar gaya
ai sharik-e-bazm na puchh bas wo jo ham-safar the wo kya hue
koi do qadam bhi na chal saka koi darmiyan se hi ghar gaya
meri zat musht-e-ghubar hai tera aKHtaron mein shumar hai
zara ye bata ki bichhaD ke tu kahan rif'aton pe Thahar gaya
main phirun hun bar-e-jafa liye kabhi is Dagar kabhi us nagar
ki 'samar' yahan ka riwaj hai jo bhi chup raha wahi mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.