use shauq-e-ghota-zani na tha wo kahan gaya
use shauq-e-ġhota-zanī na thā vo kahāñ gayā
mire najm-e-āb mujhe batā vo kahāñ gayā
jo lakīr paanī pe naqsh thī vo kahāñ ga.ī
jo banā thā ḳhaak pe zā.icha vo kahāñ gayā
kahāñ TuuTe merī tanāb-e-jism ke hausle
jo lagā thā ḳhema vajūd kā vo kahāñ gayā
jo zamīn paañv tale bichhī thī kidhar ga.ī
vo jo āsmān saroñ pe thā vo kahāñ gayā
ga.e kis jihat ko tikon ḳhvāb ke zāviye
jo rukā thā aañkh meñ dā.era vo kahāñ gayā
abhī aks us kā ubhar rahā thā ki daf.atan
mire aa.ine se bichhaḌ gayā vo kahāñ gayā
kahāñ gum huiiñ vo zabān o kaam kī lazzateñ
jo phaloñ meñ hotā thā zā.iqa vo kahāñ gayā
use shauq-e-ghota-zani na tha wo kahan gaya
mere najm-e-ab mujhe bata wo kahan gaya
jo lakir pani pe naqsh thi wo kahan gai
jo bana tha KHak pe zaicha wo kahan gaya
kahan TuTe meri tanab-e-jism ke hausle
jo laga tha KHema wajud ka wo kahan gaya
jo zamin panw tale bichhi thi kidhar gai
wo jo aasman saron pe tha wo kahan gaya
gae kis jihat ko tikon KHwab ke zawiye
jo ruka tha aankh mein daera wo kahan gaya
abhi aks us ka ubhar raha tha ki dafatan
mere aaine se bichhaD gaya wo kahan gaya
kahan gum huin wo zaban o kaam ki lazzaten
jo phalon mein hota tha zaiqa wo kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.