use to KHwab kisi aur ke suhane lage
use to ḳhvāb kisī aur ke suhāne lage
hamāre dil se nikalte jise zamāne lage
hamāre dil meñ na.e ḳhauf sar uThāne lage
parinde jab bhī kahīñ ghoñsle banāne lage
jinheñ panāh dī ham ne vahī bachā ke nazar
hamāre ghar meñ na.e rāste banāne lage
hamārī kam-nigahī pe vo ḳhud bhī hairāñ thā
ham apnā jaan ke jis ko gale lagāne lage
har ek chehra khilā hai gulāb kī sūrat
ye kaise rañg na.e bārishoñ meñ aane lage
use to KHwab kisi aur ke suhane lage
hamare dil se nikalte jise zamane lage
hamare dil mein nae KHauf sar uThane lage
parinde jab bhi kahin ghonsle banane lage
jinhen panah di hum ne wahi bacha ke nazar
hamare ghar mein nae raste banane lage
hamari kam-nigahi pe wo KHud bhi hairan tha
hum apna jaan ke jis ko gale lagane lage
har ek chehra khila hai gulab ki surat
ye kaise rang nae barishon mein aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.