use to meri mohabbat ka pas tha hi nahin
use to merī mohabbat kā paas thā hī nahīñ
vo ro rahā thā magar vo udaas thā hī nahīñ
hamāre paas mohabbat thī so use sauñpī
jo māñgtā vo rahā mere paas thā hī nahīñ
bayān us ne kahānī hamāre naam se kī
hamāre zehn meñ vaisā qayās thā hī nahīñ
hamāre paas jo aayā lahū lahū thā vo
hamāre tan pe bhī koī libās thā hī nahīñ
bichhaḌ ke dil meñ bahut se ḳhayāl aate haiñ
junūn-e-ishq meñ koī hirās thā hī nahīñ
sarāhte hī ga.e log mujh ko mahfil meñ
kalām merā magar us ko raas thā hī nahīñ
ye ḳhvāb kyā hai ki us se hī duur hotā huuñ
vo kārvāñ jo mire ās-pās thā hī nahīñ
hamī ne aañkh se dariyā nikāl rakkhā thā
magar vo dil ki mohabbat-shanās thā hī nahīñ
use to meri mohabbat ka pas tha hi nahin
wo ro raha tha magar wo udas tha hi nahin
hamare pas mohabbat thi so use saunpi
jo mangta wo raha mere pas tha hi nahin
bayan us ne kahani hamare nam se ki
hamare zehn mein waisa qayas tha hi nahin
hamare pas jo aaya lahu lahu tha wo
hamare tan pe bhi koi libas tha hi nahin
bichhaD ke dil mein bahut se KHayal aate hain
junun-e-ishq mein koi hiras tha hi nahin
sarahte hi gae log mujh ko mahfil mein
kalam mera magar us ko ras tha hi nahin
ye KHwab kya hai ki us se hi dur hota hun
wo karwan jo mere aas-pas tha hi nahin
hami ne aankh se dariya nikal rakkha tha
magar wo dil ki mohabbat-shanas tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.