use yaqin na aaya meri kahani par
use yaqīn na aayā mirī kahānī par
vo naqsh DhūñD rahā thā guzarte paanī par
safīne thak ke tah-e-āb ho ga.e saare
hunar khilā na havāoñ kā bādbānī par
maiñ saḳht-jān thā aisā ki chīḳh bhī na sakā
fuġhāñ fuġhāñ thī jahāñ marg-e-nā-gahānī par
maiñ āsmāñ ko samajhtā rahā harīf apnā
gayā na dhyān kabhī us kī be-karānī par
'mujībī' chup sī ye kyuuñ lag ga.ī zamāne ko
kahāñ ga.e vo jo nāzāñ the ḳhush-bayānī par
use yaqin na aaya meri kahani par
wo naqsh DhunD raha tha guzarte pani par
safine thak ke tah-e-ab ho gae sare
hunar khila na hawaon ka baadbani par
main saKHt-jaan tha aisa ki chiKH bhi na saka
fughan fughan thi jahan marg-e-na-gahani par
main aasman ko samajhta raha harif apna
gaya na dhyan kabhi us ki be-karani par
'mujibi' chup si ye kyun lag gai zamane ko
kahan gae wo jo nazan the KHush-bayani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.