ushshaq bahut hain tere bimar bahut hain
ushshāq bahut haiñ tire bīmār bahut haiñ
tujh husn-e-dil-ārām ke haqdār bahut haiñ
ai sañg-sifat aa ke sar-e-bām zarā dekh
ik ham hī nahīñ tere talabgār bahut haiñ
bechain kiye rakhtī hai har aan ye dil ko
kam-baḳht mohabbat ke bhī āzār bahut haiñ
miTTī ke khilaune haiñ tire haath meñ ham log
aur gir ke bikhar jaane ke āsār bahut haiñ
likkheñ to koī misra-e-tar likh nahīñ paate
aur 'ġhālib'-e-ḳhasta ke taraf-dār bahut haiñ
ai rabb-e-hunar chashm-e-ināyāt idhar bhī
har-chand ki ham tere gunahgār bahut haiñ
'ḳhāvar' use pā lene meñ kho dene kā Dar hai
andesha o hasrat ke miyāñ ḳhaar bahut haiñ
ushshaq bahut hain tere bimar bahut hain
tujh husn-e-dil-aram ke haqdar bahut hain
ai sang-sifat aa ke sar-e-baam zara dekh
ek hum hi nahin tere talabgar bahut hain
bechain kiye rakhti hai har aan ye dil ko
kam-baKHt mohabbat ke bhi aazar bahut hain
miTTi ke khilaune hain tere hath mein hum log
aur gir ke bikhar jaane ke aasar bahut hain
likkhen to koi misra-e-tar likh nahin pate
aur 'ghaalib'-e-KHasta ke taraf-dar bahut hain
ai rabb-e-hunar chashm-e-inayat idhar bhi
har-chand ki hum tere gunahgar bahut hain
'KHawar' use pa lene mein kho dene ka Dar hai
andesha o hasrat ke miyan KHar bahut hain
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.