ushshaq mein nam ho chuka hai
ushshāq meñ naam ho chukā hai
'kaifī' badnām ho chukā hai
kyā pūchhte ho marīz-e-ġham ko
kaam us kā tamām ho chukā hai
āshiq kā na imtihāñ lo vo to
banda-e-be-dām ho chukā hai
kyuuñ ham se na muñh chhupā ke jaa.eñ
haañ aap kā kaam ho chukā hai
kyā kaam hameñ rahā kisī se
jab apnā hī kaam ho chukā hai
'kaifī' kab tak ye ḳhvāb-e-ġhaflat
mehr lab-e-bām ho chukā hai
ushshaq mein nam ho chuka hai
'kaifi' badnam ho chuka hai
kya puchhte ho mariz-e-gham ko
kaam us ka tamam ho chuka hai
aashiq ka na imtihan lo wo to
banda-e-be-dam ho chuka hai
kyun hum se na munh chhupa ke jaen
han aap ka kaam ho chuka hai
kya kaam hamein raha kisi se
jab apna hi kaam ho chuka hai
'kaifi' kab tak ye KHwab-e-ghaflat
mehr lab-e-baam ho chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.