usi ek pal ki talash hai
usī ek pal kī talāsh hai
shab-o-roz meñ mah-o-sāl meñ
vo kahīñ bhī mujh ko milā nahīñ
na firāq meñ na visāl meñ
jo kaho to jaal sameT luuñ
faqat ek mauj hai jaal meñ
use kyā ḳhabar ki maiñ ḳhvāb huuñ
vo jo ġham hai mere ḳhayāl meñ
maiñ tarāshtā to rahā sanam
ki rahūñ jahān-e-misāl meñ
vo jo pattharoñ meñ namak sā thā
nahīñ aa sakā ḳhad-o-ḳhāl meñ
usi ek pal ki talash hai
shab-o-roz mein mah-o-sal mein
wo kahin bhi mujh ko mila nahin
na firaq mein na visal mein
jo kaho to jal sameT lun
faqat ek mauj hai jal mein
use kya KHabar ki main KHwab hun
wo jo gham hai mere KHayal mein
main tarashta to raha sanam
ki rahun jahan-e-misal mein
wo jo pattharon mein namak sa tha
nahin aa saka KHad-o-KHal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.