usi ke hath mein sara jahan hai
usī ke haath meñ saarā jahāñ hai
zamīñ jis kī hai jis kā āsmāñ hai
ġharībī bhuuk bīmārī sharāfat
tumhārī aur hamārī dāstāñ hai
tumheñ tark-e-ta.alluq se milā kyā
zarā socho to ye kis kā ziyāñ hai
azal se maiñ usī kā ho gayā huuñ
ki jis ke haath meñ saarā jahāñ hai
ise chhūnā nahīñ āsān itnā
bulandī par mirā hindostāñ hai
bahut sī uljhaneñ haiñ phir bhī 'nashtar'
hamārā qāfila ab bhī ravāñ hai
usi ke hath mein sara jahan hai
zamin jis ki hai jis ka aasman hai
gharibi bhuk bimari sharafat
tumhaari aur hamari dastan hai
tumhein tark-e-talluq se mila kya
zara socho to ye kis ka ziyan hai
azal se main usi ka ho gaya hun
ki jis ke hath mein sara jahan hai
ise chhuna nahin aasan itna
bulandi par mera hindostan hai
bahut si uljhanen hain phir bhi 'nashtar'
hamara qafila ab bhi rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.