usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai
usī ke pyaar ko dil se nikāl rakkhā hai
hamesha jis ne hamārā ḳhayāl rakkhā hai
vagarna TuuT ke kab kā bikhar gayā hotā
ḳhayāl-e-yār ne dil ko sambhāl rakkhā hai
magar haiñ dīda-e-bīnā ko ham sameTe hue
hamāre aage hamārā ma.aal rakkhā hai
chale bhī aao ki ham ne dayār-e-ġhair meñ bhī
sabīl DhūñD lī rasta nikāl rakkhā hai
shikasta-ḳhvāb muqaddar kahīñ na ban jaa.eñ
ḳhudā-e-vaqt ne va.adoñ pe Taal rakkhā hai
azal ke din se 'mubārak' havāoñ kī zad par
mirā vajūd diye kī misāl rakkhā hai
usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai
hamesha jis ne hamara KHayal rakkha hai
wagarna TuT ke kab ka bikhar gaya hota
KHayal-e-yar ne dil ko sambhaal rakkha hai
magar hain dida-e-bina ko hum sameTe hue
hamare aage hamara maal rakkha hai
chale bhi aao ki hum ne dayar-e-ghair mein bhi
sabil DhunD li rasta nikal rakkha hai
shikasta-KHwab muqaddar kahin na ban jaen
KHuda-e-waqt ne wadon pe Tal rakkha hai
azal ke din se 'mubarak' hawaon ki zad par
mera wajud diye ki misal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.