usi ki ho gai hun rafta rafta
usī kī ho ga.ī huuñ rafta rafta
usī meñ kho ga.ī huuñ rafta rafta
maiñ kisht-e-zīst meñ fasloñ kī sūrat
kuchh aañsū bo ga.ī huuñ rafta rafta
guzārī haiñ hazāroñ dukh kī rāteñ
bahādur ho ga.ī huuñ rafta rafta
sitam sah kar rahī ḳhāmosh sadiyoñ
vo samjhā so ga.ī huuñ rafta rafta
maiñ ho kar be-ḳhatā mujrim hī Thahrī
to bāġhī ho ga.ī huuñ rafta rafta
jafā ḳhū se vafā.eñ karte karte
divānī ho ga.ī huuñ rafta rafta
'ayāñ' patthar ke siine meñ Thahar kar
maiñ paanī ho ga.ī huuñ rafta rafta
usi ki ho gai hun rafta rafta
usi mein kho gai hun rafta rafta
main kisht-e-zist mein faslon ki surat
kuchh aansu bo gai hun rafta rafta
guzari hain hazaron dukh ki raaten
bahadur ho gai hun rafta rafta
sitam sah kar rahi KHamosh sadiyon
wo samjha so gai hun rafta rafta
main ho kar be-KHata mujrim hi Thahri
to baghi ho gai hun rafta rafta
jafa KHu se wafaen karte karte
diwani ho gai hun rafta rafta
'ayan' patthar ke sine mein Thahar kar
main pani ho gai hun rafta rafta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 90)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.