usi ko dekh kar dil-gir hai kya
usī ko dekh kar dil-gīr hai kyā
tire ghar meñ mirī tasvīr hai kyā
hamāre naam par chauñkī thī mahfil
nahīñ to aap kī taqrīr hai kyā
sar-e-taslīm ḳham karne se pahle
samajhnā chāhiye taqsīr hai kyā
bakar ne zaid se kuchh bhī kahā ho
bakar ke haath kī tahrīr hai kyā
raqīboñ kī burā.ī ho rahī hai
milāne kī koī tadbīr hai kyā
mirī āñkhoñ meñ tinkā dekhte ho
tumhārī aañkh meñ shahtīr hai kyā
'muzaffar' tanz kahne par burā hai
ġhazal bhī aap kī jāgīr hai kyā
usi ko dekh kar dil-gir hai kya
tere ghar mein meri taswir hai kya
hamare nam par chaunki thi mahfil
nahin to aap ki taqrir hai kya
sar-e-taslim KHam karne se pahle
samajhna chahiye taqsir hai kya
bakar ne zaid se kuchh bhi kaha ho
bakar ke hath ki tahrir hai kya
raqibon ki burai ho rahi hai
milane ki koi tadbir hai kya
meri aankhon mein tinka dekhte ho
tumhaari aankh mein shahtir hai kya
'muzaffar' tanz kahne par bura hai
ghazal bhi aap ki jagir hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.