usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha
usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha
Osama Khalid
MORE BYOsama Khalid
usī ne aadam ke naqsh-e-pā ko azal kiyā thā bharam rakhā thā
zamīñ pe jalva-fagan na ho kar bhī jis ne pahlā qadam rakhā thā
ham ek tartīb se tumhārī udaas nazmoñ pe ro chuke haiñ
ki āñsuoñ aur ḳhuun ke beach DeḌh siskī kā sam rakhā thā
za.iif vaqtoñ meñ apne kumbe kī zimmedārī uThā.ī ham ne
tumhāre abbū ne muñh dikhā.ī meñ is hathelī pe ġham rakhā thā
inhī guloñ se ab āThvīñ sur kī mīThī āvāz aa rahī hai
jinhoñ ne hijrāñ kī raat larzish ke ḳhaas unsur ko kam rakhā thā
use batānā ki apne dariyāoñ kī hifāzat ke kaam aa.e
vo peḌ kashtī bane hue haiñ jinhoñ ne sahrā meñ nam rakhā thā
usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha
zamin pe jalwa-fagan na ho kar bhi jis ne pahla qadam rakha tha
hum ek tartib se tumhaari udas nazmon pe ro chuke hain
ki aansuon aur KHun ke beach DeDh siski ka sam rakha tha
zaif waqton mein apne kumbe ki zimmedari uThai hum ne
tumhaare abbu ne munh dikhai mein is hatheli pe gham rakha tha
inhi gulon se ab aaThwin sur ki miThi aawaz aa rahi hai
jinhon ne hijran ki raat larzish ke KHas unsur ko kam rakha tha
use batana ki apne dariyaon ki hifazat ke kaam aae
wo peD kashti bane hue hain jinhon ne sahra mein nam rakha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.