usi qatil ka sine mein tere KHanjar raha hoga
usī qātil kā siine meñ tere ḳhanjar rahā hogā
ki jo chhup kar bahut ehsās ke andar rahā hogā
na jaane kis tarah ḳhāmosh dariyā meñ machī halchal
nigāhoñ meñ tirī shāyad koī kankar rahā hogā
dar-o-dīvār se aañsū Tapakte haiñ lahū ban kar
isī kamre meñ armānoñ kā ik bistar rahā hogā
kahīñ simTā hai sannāTe kī chādar oḌh kar dekho
kabhī bastī meñ vo bhī khilkhilātā ghar rahā hogā
tumheñ bhī ho gayā dhokā zamīñ kī in darāroñ se
samajh baiThe hamesha hī ye dil banjar rahā hogā
rahūñ ḳhāmosh maiñ phir bhī fasāna ban hī jaatā hai
tire dil meñ kisī aḳhbār kā daftar rahā hogā
mujhe shohrat 'atā kī zahar-e-rusvā.ī kā paikar bhī
mire vālid ke bhītar bhī koī shankar rahā hogā
tirī buniyād meñ shāmil ka.ī mā'sūm chīḳheñ haiñ
'imārat ban rahī hogī to kyā manzar rahā hogā
sunā hai aap ke dil meñ ravāñ hone lagī nafrat
yaqīnan bad-gumāñ 'parimal' koī shā'ir rahā hogā
usi qatil ka sine mein tere KHanjar raha hoga
ki jo chhup kar bahut ehsas ke andar raha hoga
na jaane kis tarah KHamosh dariya mein machi halchal
nigahon mein teri shayad koi kankar raha hoga
dar-o-diwar se aansu Tapakte hain lahu ban kar
isi kamre mein armanon ka ek bistar raha hoga
kahin simTa hai sannaTe ki chadar oDh kar dekho
kabhi basti mein wo bhi khilkhilata ghar raha hoga
tumhein bhi ho gaya dhoka zamin ki in dararon se
samajh baiThe hamesha hi ye dil banjar raha hoga
rahun KHamosh main phir bhi fasana ban hi jata hai
tere dil mein kisi aKHbar ka daftar raha hoga
mujhe shohrat 'ata ki zahar-e-ruswai ka paikar bhi
mere walid ke bhitar bhi koi shankar raha hoga
teri buniyaad mein shamil kai ma'sum chiKHen hain
'imarat ban rahi hogi to kya manzar raha hoga
suna hai aap ke dil mein rawan hone lagi nafrat
yaqinan bad-guman 'parimal' koi sha'ir raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.