usi raste se guzren aur parkhen hum nishan apna
usī raste se guzreñ aur parkheñ ham nishāñ apnā
chalo dekheñ hai ab bhī kyā kisī lab par bayāñ apnā
jise dil se banāyā thā baḌe armān se ham ne
hamārā rāsta taktā hai kyā ab bhī makāñ apnā
vo kahte ho jise tum dasht ik vīrān sā koī
kabhī thā vo to phūloñ se bharā saarā jahāñ apnā
haiñ ham hī ham to duniyā meñ nahīñ hai aur ab koī
na jaane kaise TūTegā anā kā ye gumāñ apnā
farishto is chaman ko tum sañvāro apne hāthoñ se
nahīñ hai rang phūloñ meñ na koī bāġhbāñ apnā
usi raste se guzren aur parkhen hum nishan apna
chalo dekhen hai ab bhi kya kisi lab par bayan apna
jise dil se banaya tha baDe arman se hum ne
hamara rasta takta hai kya ab bhi makan apna
wo kahte ho jise tum dasht ek viran sa koi
kabhi tha wo to phulon se bhara sara jahan apna
hain hum hi hum to duniya mein nahin hai aur ab koi
na jaane kaise TuTega ana ka ye guman apna
farishto is chaman ko tum sanwaro apne hathon se
nahin hai rang phulon mein na koi baghban apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.