usi zamin usi aasman ke sath rahe
usī zamīn usī āsmāñ ke saath rahe
jahāñ ke the hī nahīñ us jahāñ ke saath rahe
na.ī zamīñ pe khilāte rahe shanāḳht ke phuul
jahāñ rahe vahāñ apnī zabāñ ke saath rahe
sajā ke nok-e-palak tak virāsatoñ kā jamāl
saqāfat-e-vatan-e-mezbāñ ke saath rahe
ham apne lamha-e-maujūd ke havāloñ se
ġhubār-e-qāfila-e-raftagāñ ke saath rahe
tarāshtī rahī mauj-e-havā-e-vaqt hameñ
chaTān the magar āb-e-ravāñ ke saath rahe
kisī shikasta kināre se rabt hī na rakhā
samundaroñ meñ khule bādbāñ ke saath rahe
badan pe jamne na dī ham ne gard-e-tanhā.ī
ḳhayāl-e-anjuman-e-dostāñ ke saath rahe
bas is ḳhayāl se kuchh is meñ terā zikr bhī thā
sunī-sunā.ī huī dāstāñ ke saath rahe
usi zamin usi aasman ke sath rahe
jahan ke the hi nahin us jahan ke sath rahe
nai zamin pe khilate rahe shanaKHt ke phul
jahan rahe wahan apni zaban ke sath rahe
saja ke nok-e-palak tak wirasaton ka jamal
saqafat-e-watan-e-mezban ke sath rahe
hum apne lamha-e-maujud ke hawalon se
ghubar-e-qafila-e-raftagan ke sath rahe
tarashti rahi mauj-e-hawa-e-waqt hamein
chaTan the magar aab-e-rawan ke sath rahe
kisi shikasta kinare se rabt hi na rakha
samundaron mein khule baadban ke sath rahe
badan pe jamne na di hum ne gard-e-tanhai
KHayal-e-anjuman-e-dostan ke sath rahe
bas is KHayal se kuchh is mein tera zikr bhi tha
suni-sunai hui dastan ke sath rahe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 500)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.