uslub yaqinan hai judagana KHuda ka
uslūb yaqīnan hai judāgāna ḳhudā kā
paḌhtā huuñ tujhe jaan ke afsāna ḳhudā kā
tālib kī talab vus.at-e-dāman se juḌī hai
ham rind samajh sakte haiñ paimāna ḳhudā kā
din raat Tapakte haiñ mirī aañkh se aañsū
ḳhālī nahīñ hotā kabhī mai-ḳhāna ḳhudā kā
aaya hai koī shaḳhs dil-e-zār meñ rahne
dekhā hai kisī ne kabhī vīrāna ḳhudā kā
kyā shaiḳh ko ādāb-e-fazīlat nahīñ aate
khīñche hai kabhī dast kabhī shāna ḳhudā kā
bosa bhī use dūñgā jo me.aar pe utre
har aag meñ jaltā nahīñ parvāna ḳhudā kā
jaate haiñ tabī.at kī ravānī jahāñ le jaa.e
maḳhsūs pata hai koī merā na ḳhudā kā
be-raunaqī ḳhāliq ko bhī achchhī nahīñ lagtī
rangoñ se bharā rahtā hai but-ḳhāna ḳhudā kā
uslub yaqinan hai judagana KHuda ka
paDhta hun tujhe jaan ke afsana KHuda ka
talib ki talab wusat-e-daman se juDi hai
hum rind samajh sakte hain paimana KHuda ka
din raat Tapakte hain meri aankh se aansu
KHali nahin hota kabhi mai-KHana KHuda ka
aaya hai koi shaKHs dil-e-zar mein rahne
dekha hai kisi ne kabhi virana KHuda ka
kya shaiKH ko aadab-e-fazilat nahin aate
khinche hai kabhi dast kabhi shana KHuda ka
bosa bhi use dunga jo mear pe utre
har aag mein jalta nahin parwana KHuda ka
jate hain tabiat ki rawani jahan le jae
maKHsus pata hai koi mera na KHuda ka
be-raunaqi KHaliq ko bhi achchhi nahin lagti
rangon se bhara rahta hai but-KHana KHuda ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.