utar gae dariya mein phir gahrai ka andaza kya
utar ga.e dariyā meñ phir gahrā.ī kā andāza kyā
habs se bāhar jaanā hai to khiḌkī kyā darvāza kyā
kis dushman lashkar kī nāzuk ḳhvāboñ par yalġhār huī
bikhar gayā hai itnī jaldī bastī kā shīrāza kyā
muddat se jo bañd paḌe the saare darīche khol diye
ab kamre meñ dar ā.eñgī dekho havā.eñ taaza kyā
lambī taan ke sone vaalo tum ko jagāne kī ḳhātir
sūr-e-isrāfīl kī mānind aa.egā āvāza kyā
ye to hai ki misāl bhī koī apne pīchhe rah jaa.e
varna safar-e-ishq meñ koī ġhalatī kyā ḳhamyāza kyā
utar gae dariya mein phir gahrai ka andaza kya
habs se bahar jaana hai to khiDki kya darwaza kya
kis dushman lashkar ki nazuk KHwabon par yalghaar hui
bikhar gaya hai itni jaldi basti ka shiraaza kya
muddat se jo band paDe the sare dariche khol diye
ab kamre mein dar aaengi dekho hawaen taza kya
lambi tan ke sone walo tum ko jagane ki KHatir
sur-e-israfil ki manind aaega aawaza kya
ye to hai ki misal bhi koi apne pichhe rah jae
warna safar-e-ishq mein koi ghalati kya KHamyaza kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.