utar kar aaegi aangan mein yaro chandni kab tak
utar kar aa.egī āñgan meñ yaaro chāñdnī kab tak
jalā kar ḳhūn-e-dil apnā kareñ ham raushnī kab tak
jo mai-āshām haiñ pyāse palaT aate haiñ mahfil se
rahegā dast-e-zāhid meñ nizām-e-mai-kashī kab tak
jalā kar sham.a par sham.a koī dīvāna kahtā thā
maiñ dekhūñgā ki ab miTtī nahīñ hai tīrgī kab tak
ye gulshan ke muhāfiz ye luTere rang-o-nik.hat ke
kareñge is tarah nīlām phūloñ kī hañsī kab tak
khaḌā hai aaj har insān armānoñ ke maqtal meñ
sazā jiine kī pā.egī na jaane zindagī kab tak
mohazzab jānvar tahzīb ke jangal kā bāshinda
lahū piitā rahegā aadmī kā aadmī kab tak
qalam se kaam lenā chāhiye talvār kā 'rizvāñ'
faqat tafrīh kī ḳhātir ye sher-o-shā.erī kab tak
utar kar aaegi aangan mein yaro chandni kab tak
jala kar KHun-e-dil apna karen hum raushni kab tak
jo mai-asham hain pyase palaT aate hain mahfil se
rahega dast-e-zahid mein nizam-e-mai-kashi kab tak
jala kar shama par shama koi diwana kahta tha
main dekhunga ki ab miTti nahin hai tirgi kab tak
ye gulshan ke muhafiz ye luTere rang-o-nikhat ke
karenge is tarah nilam phulon ki hansi kab tak
khaDa hai aaj har insan armanon ke maqtal mein
saza jine ki paegi na jaane zindagi kab tak
mohazzab jaanwar tahzib ke jangal ka bashinda
lahu pita rahega aadmi ka aadmi kab tak
qalam se kaam lena chahiye talwar ka 'rizwan'
faqat tafrih ki KHatir ye sher-o-shaeri kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.