uTh jae darmiyan se jo parda hijab ka
uTh jaa.e darmiyāñ se jo parda hijāb kā
paḌh luuñ kitāb-e-husn se mazmūn ḳhvāb kā
apnī nazar bhī Daal de saaqī sharāb meñ
dekhe koī to us ko ho dhokā gulāb kā
zāhir pe kar naqāb to bātin pe kar nazar
matlūb hai nazārā jo us be-naqāb kā
us par tamām khul ga.e arz-o-samā ke raaz
hamrāz ho gayā jo tumhārī janāb kā
husn-o-jamāl-e-ishq se tharrā ga.ī fazā
jaise gayā ho chauñk vajūd āftāb kā
zau paa.e jis se ishq vo jalve bikher de
fitrat meñ rang bharnā hai maqsad shabāb kā
allah re tamtamāte se chehre kī āb-o-tāb
phīkā paḌe hai dekh ke rang āftāb kā
aariz ke zer-o-bam pe nazar jam ke rah ga.ī
merī nazar meñ ḳhaak thā sho.ala itaab kā
ḳhādim ke arz-e-hāl pe kartā hai sau savāl
laḌnā hai lā-javāb se ik lā-javāb kā
rindoñ meñ ek rind 'kañval' bhī hai dosto
āshiq hai aise daur meñ husn-e-sharāb kā
uTh jae darmiyan se jo parda hijab ka
paDh lun kitab-e-husn se mazmun KHwab ka
apni nazar bhi Dal de saqi sharab mein
dekhe koi to us ko ho dhoka gulab ka
zahir pe kar naqab to baatin pe kar nazar
matlub hai nazara jo us be-naqab ka
us par tamam khul gae arz-o-sama ke raaz
hamraaz ho gaya jo tumhaari janab ka
husn-o-jamal-e-ishq se tharra gai faza
jaise gaya ho chaunk wajud aaftab ka
zau pae jis se ishq wo jalwe bikher de
fitrat mein rang bharna hai maqsad shabab ka
allah re tamtamate se chehre ki aab-o-tab
phika paDe hai dekh ke rang aaftab ka
aariz ke zer-o-bam pe nazar jam ke rah gai
meri nazar mein KHak tha shoala itab ka
KHadim ke arz-e-haal pe karta hai sau sawal
laDna hai la-jawab se ek la-jawab ka
rindon mein ek rind 'kanwal' bhi hai dosto
aashiq hai aise daur mein husn-e-sharab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.